Showing posts with label Allama Muhammad Iqbal (Jawab-e-Shikwa). Show all posts
Showing posts with label Allama Muhammad Iqbal (Jawab-e-Shikwa). Show all posts

Thursday, 12 December 2013

Jawab-e-Shikwa ( Allama Muhammad Iqbal)

Jawab-e-Shikwa (PART 7) (Bang-e-Dra-120) 
                            Poet: Allama Muhammad Iqbal                                              

                                         Stanza (31)

Chashme-e-Aqwam Se Makhfi Hai Haqiqat Teri
 Hai Abhi Mehfil-e-Hasti Ko Zaroorat Teri

Zinda Rakhti Hai Zamane Ko Hararat Teri
 Koukab-e-Qismat-e-Imkan Hai Khilafat Teri

Waqt-e-Fursat Hai Kahan, Kaam Abhi Baqi Hai
 Noor-e-Touheed Ka Itmam Abhi Baqi Hai


                                 Stanza (32)


Misl-e-Bu Qaid Hai Ghunche Mein, Preshan Ho Ja
 Rakht Bar Dosh Hawaye Chamanistan Ho Ja

Hai Tunk Maya To Zarre Se Byaban Ho Ja
 Naghma-e-Mouj Se Hangama-e-Toofan Ho Ja!

Quwwat-e-Ishq Se Har Past Ko Bala Kar De
 Dehr Mein Ism-e-Muhammad (S.A.W.) Se Ujala Kar De


                                 Stanza (33)


Ho Na Ye Phool To Bulbul Ka Tarannum Bhi Na Ho
 Chaman-e-Dehr Mein Kaliyon Ka Tabassum Bhi Na Ho

Ye Na Saqi Ho To Phir Mai Bhi Na Ho, Khum Bhi Na Ho
 Bazm-e-Touheed Bhi Dunya Mein Na Ho, Tum Bhi Na Ho

Khema Aflak Ka Istada Issi Naam Se Hai
 Nabz-e-Hasti Tapish Aamadah Issi Naam Se Hai


                                 Stanza (34)


Dasht Mein, Daman-e-Kuhsar Mein, Maidan Mein Hai
 Behr Mein, Mouj Ki Aghosh Mein, Toofan Mein Hai

Cheen Ke Shehr, Maraqash Ke Byaban Mein Hai
 Aur Poshida Musalman Ke Iman Mein Hai

Chashm-e-Aqwam Ye Nazara Abad Tak Dekhe
 Riffat-e-Shan-e-‘Rafaana La Ka Zikrak’ Dekhe


                                 Stanza (35)


Mardam-e-Chashm-e-Zameen Yani Woh Kali Dunya
 Woh Tumhare Shuhada Palne Wali Dunya

Garmi-e-Mehr Ki Parwarda Hilali Dunya
 Ishq Wale Jise Kehte Hain Bilali Dunya

Tapish Andoz Hai Iss Naam Se Paare Ki Tarah
 Ghouta Zan Noor Mein Hai Aankh Ke Tare Ki Tarah


                                 Stanza (36)


Aqal Hai Teri Sipar, Ishq Hai Shamsheer Teri
 Mere Darvaish! Khilafat Hai Jahangeer Teri

Ma Siwa Allah Ke Liye Aag Hai Takbeer Teri
 Tu Musalman Ho To Taqdeer Hai Tadbeer Teri

Ki Muhammed (S.A.W.) Se Wafa Tu Ne Tau Hum Tere Hain
 Yeh Jahan Cheez Hai Kya, Loh-o-Qalam Tere Hain

Jawab-e-Shikwa ( Allama Muhammad Iqbal)

Jawab-e-Shikwa (PART 6)(Bang-e-Dra-120) 
                           Poet: Allama Muhammad Iqbal


                                 Stanza (26)


Dekh Kar Rang-e-Chaman Ho Na Pareshan Mali
 Koukab-e-Ghuncha Se Shakhain Hain Chamakne Wali

Khas-o-Khashaak Se Hota Hai Gulistan Khali
 Gul Bar Andaaz Hai Khoon-e-Shuhada Ki Laali

Rang Gardoon Ka Zara Dekh Tau Unnabi Hai
 Yeh Nikalte Huwe Suraj Ki Ufaq Taabi Hai


                                 Stanza (27)


Ummatain  Gulshan-e-Hasti Mein Samar Cheeda Bhi Hain
 Aur Mehroom-e-Samar Bhi Hain, Khazan Didah Bhi Hain

Saikron Nakhl Hain, Kaheeda Bhi, Baleeda Bhi Hain
 Saikron Batan-e-Chaman Mein Abhi Poshida Bhi Hain

Nakhl-e-Islam Namoona Hai Bru-Mandi Ka
 Phal Hai Ye Saikron Saalon Ki Chaman Bandi Ka


                                  Stanza (28)


Pak Hai Gard-e-Watan Se Sirr-e-Daman Tera
 Tu Woh Yousaf Hai Ke Har Misr Hai Kinaan Tera

Qafila Ho Na Sake Ga Kabhi Weeran Tera
 Ghair Yak Bang-e-Dara Kuch Nahin Saman Tera

Nakhl-e-Shama Asti-o-Dar Shaola Dawad Resha-e-Tu
 Aaqbat Soz Bawad Saya-e-Andesha-e-Tu


                                  Stanza (29)


Tu Na Mit Jaye Ga Iran Ke Mit Jane Se
 Nasha-e-Mai Ko Ta’aluq Nahin Pemane Se

Hai Ayan Yorish-e-Tataar Ke Afsane Se
 Pasban Mil Gaye Kaabe Ko Sanam Khane Se

Kashti-e-Haq Ka Zamane Mein Sahara Tu Hai
 Asr-e-Nau Raat Hai, Dhundla Sa Sitara Tu Hai


                                 Stanza (30)


Hai Jo Hangama Bipa Yorish-e-Balghari Ka
 Ghafilon Ke Liye Pegham Hai Baidari Ka

Tu Samajhta Hai Ye Saman Hai Dil Aazari Ka
 Imtihan Hai Tere Isaar Ka, Khud-Dari Ka

Kyun Harasan Hai Saheel-e-Faras-e-Aada Se
 Noor-e-Haq Bujh Na Sake Ga Nafs-e-Aada Se






Jawab-e-Shikwa ( Allama Muhammad Iqbal)

Jawab-e-Shikwa (PART 5)(Bang-e-Dra-120) 
                         Poet: Allama Muhammad Iqbal


                                 Stanza (21)


Tum Ho Apas Mein Ghazabnak, Woh Apas Mein Raheem
 Tum Khatakaar-o-Khatabeen, Woh Khata Posh-o-Kareem

                         Chahte Sub Hain Ke Hon Auj-e-Surayya Pe Muqeem,
                         Pehle Waisa Koi Paida Tau Kare Qalb-e-Salim!

Takht-e-Faghfoor Bhi Un Ka Tha, Sareer-e-Ke Bhi
 Yunhi Baatain Hain Ke Tum Mein Woh Hameeyyat Hai Bhi?


                                Stanza (22)


Khudkushi Shewa Tumhara, Woh Ghayoor-o-Khuddar
 Tum Akhuwat Se Gurezan, Woh Akhuwat Pe Nisar

Tum Ho Guftar Sarapa, Woh Sarapa Kirdar
 Tum Taraste Ho Kali Ko, Woh Gulistan Bah Kinar

Ab Talak Yaad Hai Qoumon Ko Hikayat Un Ki
 Naqsh Hai Safah-e-Hasti Pe Sadaqat Un Ki'


                                 Stanza (23)


Misl-e-Anjum Ufaq-e-Qoum Pe Roshan Bhi Huwe
 But-e-Hindi Ki Mohabbat Mein Barhman Bhi Huwe

Shauq-e-Parwaz Mein Mehjoor-e-Nasheman Bhi Huwe
 Be-Amal The Hi Jawan, Deen-e-Se Badzan Bhi Huwe

In Ko Tehzeeb Ne Har Bande Se Azad Kiya
 La Ke Kaabe Se Sanamkhane Mein Abad Kiya


                                 Stanza (24)


Qais Zehmat Kash-e-Tanhai-e-Sehra Na Rahe
 Shehr Ki Khaye Huwa, Bad Ye Pema Na Rahe!

Woh To Diwana Hai, Basti Mein Rahe Ya Na Rahe
 Ye Zaroori Hai Hijab-e-Rukh-e-Laila Na Rahe!

Gila-e-Jor Na Ho, Shikwa-e-Baidad Na Ho
 Ishq Azad Hai, Kyun Husn Bhi Azad Na Ho!


                                 Stanza (25)



Ehd-e-Nau Barq Hai, Aatish Zan-e-Har Khirman Hai
 Ayman Is Se Koi Sehra No Koi Gulshan Hai

Is Nayi Aag Ka Aqwam-e-Kuhan Indhan Hai
 Millat-e-Khatam-e-Rusal (S.A.W.) Shaola Ba Perahan Hai

Aaj Bhi Jo Baraheem (A.S.) Ka Imaan Paida
 Aag Kar Sakti Hai Andaz-e-Gulistan Paida


Jawab-e-Shikwa ( Allama Muhammad Iqbal)

Jawab-e-Shikwa (PART 4)(Bang-e-Dra-120) 
                           Poet: Allama Muhammad Iqbal


                                 Stanza (16)


Waaiz-e-Qoum Ki Woh Pukhta Khayali Na Rahi
 Barq Taba’ee Na Rahi, Shaola Maqali Na Rahi

                                         Reh Gyi Rasm-e-Azan, Rooh-e-Bilali Na Rahi
                                         Falsafa Reh Gya, Talqeen-e-Ghazali Na Rahi

Masjidain Marsiya Khawan Hain Ke Namazi Na Rahe
 Yani Woh Sahib-e-Ausaf-e-Hijazi Na Rahe



                                 Stanza (17)


Shor Hai Ho Gaye Dunya Se Musalman Nabood
 Hum Ye Kehte Hain Ke The Bhi Kahin Muslim Maujood!

Waza Mein Tum Ho Nisara, Tau Tamaddun Mein Hanood,
 Yeh Musalman Hain! Jinhain Dekh Ke Sharmaen Yahood?

Yun To Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho
 Tum Sabhi Kuch Ho, Batao To Musalman Bhi Ho!



                                 Stanza (18)


Dam-e-Taqreer Thi Muslim Ki Sadaqat Bebak
 Adal Uss Ka Tha Qawi, Loos-e-Mara’at Se Pak

Shajar-e-Fitrat-e-Muslim Tha Haya Se Namnak
 Tha Shujaat Mein Woh Ek Hasti-e-Fouq-Ul-Idraak

Khud Gudazi Nam-e-Kaifiat-e-Sehbayesh Bood
 Khali Az Khawaish Shudan Soorat-e-Meenayesh Bood



                                Stanza (19)


Har Musalman Rag-e-Batil Ke Liye Nashtar Tha
 Uss Ke Aaeena-e-Hasti Mein Amal Jouhar Tha

Jo Bharosa Tha Usse Quwwat-e-Bazoo Par Tha
 Hai Tumhain Mout Ka Dar, Uss Ko Khuda Ka Dar Tha

Baap Ka Ilm Na Bete Ko Agar Azbar Ho
 Phir Pisar Qabil-e-Miraas-e-Pidar Kyunkar Ho!


                                 Stanza (20)



Har Koi Mast-e-Mai-e-Zauq-e-Tan Asani Hai,
 Tum Musalman Ho? Ye Andaaz-e-Musalmani Hai?

Haidari Faqr Hai Ne Doulat-e-Usmani Hai
 Tum Ko Aslaaf Se Kya Nisbat-e-Rohani Hai?

Woh Zamane Mein Mu’azzaz The Musalman Ho Kar
 Aur Tum Khawar Huwe Taarik-e-Quran Ho Kar

Jawab-e-Shikwa ( Allama Muhammad Iqbal)

Jawab-e-Shikwa (PART 3)(Bang-e-Dra-120) 
                            Poet: Allama Muhammad Iqbal


                                 Stanza (11)


Safah-e-Dehr Se Batil Ko Mitaya Kis Ne?
 Nau-e-Insan Ko Ghulami Se Chhuraya Kis Ne?

                                                Mere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaya Kis Ne?
Mere Quran Ko Seenon Se Lagaya Kis Ne?

The Tou Aaba Woh Tumhare Hi, Magar Tum Kya Ho?
 Hath Par Hath Dhare Muntazir-e-Farda Ho!


                                Stanza (12)


Kya Kaha? "Bahr-e-Musalman Hai Faqt Wade-e-Hoor
 Shikwa Be-Ja Bhi Kare Koi Tau Lazim Hai Shaoor!

                                                Adal Hai Fatir-e-Hasti Ka Azal Se Dastoor
 Muslim Aaeen Huwa Kafir Tau Mile Hoor-o-Qasoor

Tum Mein Hooron Ka Koi Chahne Wala Hi Nahin
 Jalwa-e-Toor Tau Maujood Hai, Moosa Hi Nahin



                                 Stanza (13)


Manfa’at Aik Hai Is Qaum Ki, Nuqsan Bhi Aik
 Ek Hi Sab Ka Nabi (S.A.W), Din Bhi, Iman Bhi Aik

                                                Harm-e-Paak Bhi, Allah Bhi, Quran Bhi Aik,
                                                Kuch Bari Baat Thi Hote Jo Musalmaan Bhi Aik!

Firqa Bandi Hai Kahin, Aur Kahin Zaatain Hain
 Kya Zamane Mein Panapne Ki Yehi Baatain Hain?



                                Stanza (14)


Kon Hai Taarik-e-Aaeen-e-Rasool-e-Mukhtar (S.A.W.)?
 Maslihat Waqt Ki Hai Kis Ke Amal Ka Maayaar?

Kis Ki Ankhon Mein Samaya Hai Sha’ar-e-Aghyar
 Ho Gyi Kis Ki Nigah Tarz-e-Salaf Se Baizar?

Qalb Mein Souz Nahin, Rooh Mein Ehsas Nahin
 Kuch Bhi Paigham-e-Muhammad (S.A.W.) Ka Tumhain Paas Nahin


                                 Stanza (15)


Jaa Ke Hote Hain Masajid Mein Saf-Aara, Tau Ghareeb
 Zehmat-e-Roza Jo Karte Hain Gawara, Tau Ghareeb

Naam Leta Hai Agar Koi Hamara, Tau Ghareeb
 Pardah Rakhta Hai Agar Koi Tumhara, Tau Ghareeb

Umra Nasha-e-Doulat Mein Hain Ghafil Hum Se
 Zinda Hai Millat-e-Baiza Ghurba Ke Dam Se

Jawab-e-Shikwa ( Allama Muhammad Iqbal)

Jawab-e-Shikwa (PART 2)(Bang-e-Dra-120) 
                           Poet: Allama Muhammad Iqbal


                                  Stanza (6)


Hum Tau Mayal Ba-Karam Hain, Koi Sayal Hi Nahin
 Rah Dikhlaen Kise Rahraw-e-Manzil Hi Nahin

                                          Tarbiat Aam Tau Hai, Jauhar-e-Qabil Hi Nahin
                                          Jis Se Taamir Ho Aadam Ki Yeh Woh Gil Hi Nahin

Koi Qabil Ho Tau Hum Shan-e-Kai Dete Hain
 Dhoondne Walon Ko Dunya Bhi Nai Dete Hain!


                                Stanza (7)


Hath Be-Zor Hain, Ilhaad Se Dil Khoo-Gar Hain
 Ummati Baais-e-Ruswai-e-Paighamber (S.A.W) Hain

                                                But-Shikan Uth Gaye, Baqi Jo Rahe But-Gar Hain
Tha Braheem Pidar, Aur Pisar Aazar Hain

Badah Aasham Naye, Bada Naya, Khum Bhi Naye
 Harm-e-Kaaba Naya, But Bhi Naye, Tum Bhi Naye


                                Stanza (8)


Woh Bhi Din The Ke Yehi Maya-e-Raanai Tha
 Nazish-e-Mousam-e-Gul Lala-e-Sahrai Tha!

                                                Jo Musalmaan Tha Allah Ka Saudai Tha
                                                Kabhi Mehboob Tumhara Yehi Harjai Tha

Kisi Yakjai Se Ab Ehd-e-Ghulami Kar Lo
 Millat-e-Ahmad (S.A.W.) Ko Maqami Kar Lo!


                                Stanza (9)


Kis Qadar Tum Pe Garan Subah Ki Baidari Hai
 Hum Se Kab Pyar Hai! Haan Neend Tumhain Pyari Hai

                                                Tabaa-e-Azad Pe Qaid-e-Ramazan Bhari Hai
 Tumhi Keh Do, Yehi Aaeen-e-Wafadari Hai?

Qoum Mazhab Se Hai, Mazhab Jo Nahin, Tum Bhi Nahin
 Jazb-e-Baham Jo Nahin, Mehfil-e-Anjum Bhi Nahin


                                 Stanza (10)


Jin Ko Ata Nahin Dunya Mein Koi Fann, Tum Ho
 Nahin Jis Qoum Ko Parwaye Nasheman, Tum Ho

                                                Bijliyan Jis Mein Hon Aasudah, Woh Khirman Tum Ho
 Baich Khate Hain Jo Aslaaf Ke Madfan, Tum Ho

Ho Niko Naam Jo Qabaron Ki Tajarat Kar Ke
 Kya Na Baicho Ge Jo Mil Jaen Sanam Pathar Ke