Jawab-e-Shikwa (PART 5)(Bang-e-Dra-120)
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Stanza (21)
Tum
Khatakaar-o-Khatabeen, Woh Khata Posh-o-Kareem
Chahte Sub Hain Ke Hon Auj-e-Surayya Pe Muqeem,
Pehle Waisa Koi Paida Tau Kare Qalb-e-Salim!
Takht-e-Faghfoor Bhi Un Ka Tha, Sareer-e-Ke Bhi
Yunhi
Baatain Hain Ke Tum Mein Woh Hameeyyat Hai Bhi?
Stanza (22)
Khudkushi Shewa Tumhara, Woh Ghayoor-o-Khuddar
Tum
Akhuwat Se Gurezan, Woh Akhuwat Pe Nisar
Tum Ho Guftar
Sarapa, Woh Sarapa Kirdar
Tum Taraste Ho Kali Ko, Woh Gulistan Bah Kinar
Ab Talak Yaad Hai Qoumon Ko Hikayat Un Ki
Naqsh
Hai Safah-e-Hasti Pe Sadaqat Un Ki'
Stanza (23)
Misl-e-Anjum Ufaq-e-Qoum Pe Roshan Bhi Huwe
But-e-Hindi Ki Mohabbat Mein Barhman Bhi Huwe
Shauq-e-Parwaz
Mein Mehjoor-e-Nasheman Bhi Huwe
Be-Amal The Hi Jawan, Deen-e-Se Badzan Bhi
Huwe
In Ko Tehzeeb Ne Har Bande Se Azad Kiya
La Ke
Kaabe Se Sanamkhane Mein Abad Kiya
Stanza (24)
Qais Zehmat Kash-e-Tanhai-e-Sehra Na Rahe
Shehr Ki
Khaye Huwa, Bad Ye Pema Na Rahe!
Woh To Diwana Hai,
Basti Mein Rahe Ya Na Rahe
Ye Zaroori Hai Hijab-e-Rukh-e-Laila Na Rahe!
Gila-e-Jor Na Ho, Shikwa-e-Baidad Na Ho
Ishq
Azad Hai, Kyun Husn Bhi Azad Na Ho!
Stanza (25)
Ehd-e-Nau Barq Hai, Aatish Zan-e-Har Khirman
Hai
Ayman Is
Se Koi Sehra No Koi Gulshan Hai
Is Nayi Aag Ka
Aqwam-e-Kuhan Indhan Hai
Millat-e-Khatam-e-Rusal (S.A.W.) Shaola Ba
Perahan Hai
Aaj Bhi Jo Baraheem (A.S.) Ka Imaan Paida
Aag Kar
Sakti Hai Andaz-e-Gulistan Paida
No comments:
Post a Comment