Wednesday, 11 December 2013

Shikwaa (Allama Muhammad Iqbal)

Shikwaa  ( part 11) (Bang-e-Dra-105)
                                Poet: Allama Muhammad Iqbal


Lutf Marne Mein Hai Baaki, Na Maza Jeene Mein
Kuch Maza Hai Tho Yahi, Khoon-e-Jigar Peene Mein
Kitne Betaab Hain Johar Mere Aaeene Mein
Kis Qadar Jalwe Tadapte Hain Mere Seene Mein

        Is Gulistaan Mein Magar Dekhne Waale Hi Nahi
        Daagh Jo Seene Mein Rakhte Hon Wo Laale Hi Nahi

Chaak Is Bulbul-e-Tanha Ki Nawaas-e-Dil Houn
Jaagnewaale Isi Baang-e-Dara Se Dil Houn
Yani Phir Zinda Naye Ahd-e-Wafa Se Dil Houn
Phir Isi Baada Daireena Ke Pyase Dil Houn

        Ajmi Khum Hai Tho Kya Mai Tho Hijaazi Hai Meri?

        Naghma Hindi Hai Tho Kya Lai Tho Hijaazi Hai Meri?

No comments:

Post a Comment