March 1907 (Bang-e-Dra-092)
Zamana Aya
Hai Behijabi Ka, Aam Didar-e-Yar Ho Ga
Sakoot Tha Parda Dar Jis Ka, Woh Raaz Ab
Ashkar Ho Ga
Guzar Gya Ab Woh Dor Saqi Ke Chup Ke
Peete The Peene Wale
Bane Ga Sara Jahan Maikhana, Har
Koi Bada Khwar Ho Ga
Kabhi Jo
Awara’ay Junoon The, Woh Bastiyon Mein Phir Aa Basain Ge
Barhna Payi Wohi Rahe Gi, Magar Naya Khar Zaar Ho Ga
Suna Diya Gosh-e-Muntazir Ko Hijaz Ki Khamshi
Ne Akhir
Jo Ehad Sehraiyon Se Bandha Gya Tha, Phir Ustawar Ho
Ga
Nikl Ke
Sehra Se Jis Ne Roma Ki Saltanat Ko Ulat Diya Tha
Suna Hai Ye Qudsiyon Se Main Ne, Woh Sher Phir
Hoshyar Ho Ga
Kiya Mera Tazkara Jo Saqi Ne Badah
Khawaron Ki Anjuman Mein
To Peer-e-Maikhana Sun Ke Kehne Laga Ke Munh Phat Hai, Khuwar Ho Ga
Diyar-e-Maghrib
Ke Rehne Walo ! Khuda Ki Basti Dukan Nahin Hai
Khara Jise Tum Samajh Rahe Ho, Woh Ab Zr-e-Kam
Ayaar Ho Ga
Tumhari
Tehzeeb Apne Khanjar Se Ap Hi Khudkushi Kare Gi
Jo Shakh-e-Nazuk Pe Ashiyana Bane Ga, Na Paidar Ho Ga
Safina’ay
Barg-e-Gul Bana Le Ga Qafla Moor-e-Natawan Ka
Hazar Moujon Ki Ho Kashakash Magar Ye Darya Se
Paar Ho Ga
Chaman Mein Lala Dikhata Phirta Hai
Dagh Apna Kali Kali Ko
Ye Janta Hai Ke Iss Dikhawe Se Dil Jalon Mein
Shumar Ho Ga
Jo Aik Tha
Ae Nigah Tu Ne Hazar Kar Ke Humain Dikhaya
Yehi Agar Kaifiyat Hai Teri To Phir Kise
Itibaar Ho Ga
Kaha Jo
Qumri Se Main Ne Ek Din, Yahan Ke Azad Pa Ba Gil Hain
To Ghunche
Kehne Lage, Humare Chaman Ka Ye Raazdaar Ho Ga
Khuda Ke Ashiq To Hain Hazaron, Bannu Mein Phirte Hain Mare
Mare
Mein Uss Ka Banda
Bano Ga Jis Ko Khuda Ke Bandon Se Pyar Ho Ga
Ye
Rasm-e-Bazm-e-Fana Hai Ae Dil! Gunah Hai Junbish-e-Nazar Bhi
Rahe Gi Kya Abru Humari Jo Tu Yahan Be-Qarar
Ho Ga
Mein Zulmat-e-Shab Mein Le Ke Niklun Ga Apne Darmandah
Karwan Ko
Sharar Fishan Ho Gi
Aah Meri, Nafas Mera Shaola Bar Ho Ga
Nahin Hai
Ghair Az Namood Kuch Bhi Jo Maddaa Teri Zindagi Ka
Tu Ek Nafas Mein Jahan Se Mitna Tujhe
Misl-e-Sharaar Ho Ga
Na Pooch Iqbal Ka Thikana, Abhi Wohi Kaifiyat Hai Uss Ki
Kahin Sar-e-Rah Guzar
Baitha Sitam Kash-e-Intizar Ho Ga
No comments:
Post a Comment