Shikwaa ( part 7)(Bang-e-Dra-105)
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Kahin
Mumkin Hai Ke Saaqi Na Rahe Jaam Rahe?
Teri
Mehfil Bhi Gayi Chahnewaale Bhi Gaye
Shab
Ki Aahein Bhi Gayi, Subah Ke Naale Bhi Gaye
Dil
Tujhe De Bhi Gaye, Apna Sila Le Bhi Gaye
Aake
Baithe Bhi Na The Aur Nikaale Bhi Gaye
Aaye
'Ishaak! Gaye Waada-e-Farda Lekar
Ab
Unhein Dhoond Chiraagh Rukh Zaiba Lekar
Dard-e-Laila
Bhi Wahi, Qais Ka Pehloo Bhi Wahi
Najid
Ke Dasht-o-Jabal Mein Ram-e-Aahoon Bhi Wahi
Ishq
Ka Dil Bhi Wahi, Husn Ka Jadoo Bhi Wahi
Ummath-e-Ahmad-e-Mursal
Bhi Wahi Tu Bhi Wahi
Phir
Ye Aazardagi Ghair-e-Sabab Kya Maani?
Apne
Seedaon Par Yeh Chasm-e-Ghazab Kya Maani?
Tujhko
Choda Ke Rasool-e-Arabi Ko Choda?
Buthgari
Pesha Kiya? Buth-Shikani Ko Choda?
Ishq
Ko, Ishq Ki Aashaftasari Ko Choda?
Rasm-e-Salman-o-Uwaisi
Qarani Ko Choda?
No comments:
Post a Comment