Jawab-e-Shikwa (PART 4)(Bang-e-Dra-120)
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Stanza (16)
Barq
Taba’ee Na Rahi, Shaola Maqali Na Rahi
Reh Gyi Rasm-e-Azan, Rooh-e-Bilali Na Rahi
Falsafa Reh Gya, Talqeen-e-Ghazali Na Rahi
Masjidain Marsiya Khawan Hain Ke Namazi Na Rahe
Yani Woh
Sahib-e-Ausaf-e-Hijazi Na Rahe
Stanza (17)
Shor Hai Ho Gaye Dunya Se Musalman Nabood
Hum Ye
Kehte Hain Ke The Bhi Kahin Muslim Maujood!
Waza Mein Tum Ho
Nisara, Tau Tamaddun Mein Hanood,
Yeh Musalman Hain! Jinhain Dekh Ke Sharmaen
Yahood?
Yun To Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho
Tum
Sabhi Kuch Ho, Batao To Musalman Bhi Ho!
Stanza (18)
Dam-e-Taqreer Thi Muslim Ki Sadaqat Bebak
Adal Uss
Ka Tha Qawi, Loos-e-Mara’at Se Pak
Shajar-e-Fitrat-e-Muslim
Tha Haya Se Namnak
Tha Shujaat Mein Woh Ek Hasti-e-Fouq-Ul-Idraak
Khud Gudazi Nam-e-Kaifiat-e-Sehbayesh Bood
Khali Az
Khawaish Shudan Soorat-e-Meenayesh Bood
Stanza (19)
Har Musalman Rag-e-Batil Ke Liye Nashtar Tha
Uss Ke
Aaeena-e-Hasti Mein Amal Jouhar Tha
Jo Bharosa Tha
Usse Quwwat-e-Bazoo Par Tha
Hai Tumhain Mout Ka Dar, Uss Ko Khuda Ka Dar
Tha
Baap Ka Ilm Na Bete Ko Agar Azbar Ho
Phir
Pisar Qabil-e-Miraas-e-Pidar Kyunkar Ho!
Stanza (20)
Har Koi Mast-e-Mai-e-Zauq-e-Tan Asani Hai,
Tum
Musalman Ho? Ye Andaaz-e-Musalmani Hai?
Haidari Faqr Hai
Ne Doulat-e-Usmani Hai
Tum Ko Aslaaf Se Kya Nisbat-e-Rohani Hai?
Woh Zamane Mein Mu’azzaz The Musalman Ho Kar
Aur Tum
Khawar Huwe Taarik-e-Quran Ho Kar
No comments:
Post a Comment