Jawab-e-Shikwa (PART 2)(Bang-e-Dra-120)
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Stanza (6)
Rah
Dikhlaen Kise Rahraw-e-Manzil Hi Nahin
Tarbiat
Aam Tau Hai, Jauhar-e-Qabil Hi Nahin
Jis Se Taamir Ho Aadam Ki Yeh Woh Gil Hi Nahin
Jis Se Taamir Ho Aadam Ki Yeh Woh Gil Hi Nahin
Koi Qabil Ho Tau Hum Shan-e-Kai Dete Hain
Dhoondne
Walon Ko Dunya Bhi Nai Dete Hain!
Stanza (7)
Hath Be-Zor Hain, Ilhaad Se Dil Khoo-Gar Hain
Ummati
Baais-e-Ruswai-e-Paighamber (S.A.W) Hain
But-Shikan
Uth Gaye, Baqi Jo Rahe But-Gar Hain
Tha Braheem Pidar, Aur Pisar Aazar Hain
Badah Aasham Naye, Bada Naya, Khum Bhi Naye
Harm-e-Kaaba Naya, But Bhi Naye, Tum Bhi Naye
Stanza (8)
Woh Bhi Din The Ke Yehi Maya-e-Raanai Tha
Nazish-e-Mousam-e-Gul Lala-e-Sahrai Tha!
Jo
Musalmaan Tha Allah Ka Saudai Tha
Kabhi
Mehboob Tumhara Yehi Harjai Tha
Kisi Yakjai Se Ab Ehd-e-Ghulami Kar Lo
Millat-e-Ahmad (S.A.W.) Ko Maqami Kar Lo!
Stanza (9)
Kis Qadar Tum Pe Garan Subah Ki Baidari Hai
Hum Se
Kab Pyar Hai! Haan Neend Tumhain Pyari Hai
Tabaa-e-Azad
Pe Qaid-e-Ramazan Bhari Hai
Tumhi Keh Do, Yehi Aaeen-e-Wafadari Hai?
Qoum Mazhab Se Hai, Mazhab Jo Nahin, Tum Bhi
Nahin
Jazb-e-Baham Jo Nahin, Mehfil-e-Anjum Bhi
Nahin
Stanza (10)
Jin Ko Ata Nahin Dunya Mein Koi Fann, Tum Ho
Nahin
Jis Qoum Ko Parwaye Nasheman, Tum Ho
Bijliyan
Jis Mein Hon Aasudah, Woh Khirman Tum Ho
Baich Khate Hain Jo Aslaaf Ke Madfan, Tum Ho
Ho Niko Naam Jo Qabaron Ki Tajarat Kar Ke
Kya Na
Baicho Ge Jo Mil Jaen Sanam Pathar Ke
No comments:
Post a Comment