Ilm-o-Ishq (Zarb-e-Kaleem-011)
Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan
Ishq Ne
Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan
Band-e-Takhmeen-o-Zan!
Kirm-e-Kitabi Na Ban
Ishq Sarapa Huzoor, Ilm Sarapa Hijab!
Ishq Ki Garmi Se Hai Maarka-e-Kainat
Ilm
Maqam-e-Sifat, Ishq Tamasha-e-Zaat
Ishq
Sukoon-o-Sabat,Ishq Hayat-o-Mamat
Ilm Hai Paida Sawal, Ishq Hai Pinhan Jawab!
Ishq Ke Hain Maujazat Saltanat-o-Faqr-o-Deen
Ishq Ke
Adna Ghulam Sahib-e-Taj-o-Nageen
Ishq
Makan-o-Makeen, Ishq Zaman-o-Zameen
Ishq Sarapa Yaqeen, Aur Yaqeen Fatah-e-Bab!
Shara-e-Mohabbat Mein Hai Ishrat-e-Manzil
Haraam
Shorish-e-Toofan Halal, Lazzat-e-Sahil Haraam
Ishq
Pe Bijli Halal, Ishq Pe Hasil Haraam
Ilm Hai Ibn-Ul-Kitab, Ishq Umm-Ul-Kitab!
No comments:
Post a Comment