Jawab-e-Shikwa (PART 1)(Bang-e-Dra-120)
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Stanza
(1)
Par Nahin, Taaqat-e-Parwaaz Magar Rakhti Hai
Qudsi-Ul-Asal Hai, Riffat Pe Nazar Rakhti Hai
Khaak Se Uthti Hai, Gardoon Pe
Guzar Rakhti Hai
Ishq
Tha Fitna Gar-o-Sarkash-o-Chalaak Mera
Aasman Cheer Gaya Nala-e-Bebaak Mera
Stanza (2)
Peer-e-Gardoon
Ne Kaha Sun Ke, Kahin Hai Koi!
Bole Sayyaare, Sar-e-Arsh-e-Bareen Hai Koi!
Chaand Kahta Tha, Nahin, Ahl-e-Zameen Hai Koi!
Kehkashaan Kehti Thi, Poshida
Yahin Hai Koi!
Kuch
Jo Samjha Tau Mere Shikwe Ko Rizwan Samjha
Mujhe Jannat Se Nikala Huwa Insan Samjha
Stanza (3)
Thi
Farishton Ko Bhi Hairat, Ke Yeh Awaz Hai Kya!
Arsh Walon Pe Bhi Khulta Nahin Yeh Raaz Hai
Kya!
Taa Sar-e-Arsh Bhi Insan Ki Tag-o-Taaz Hai Kya?
Aa
Gyi Khak Ki Chutki Ko Bhi Parwaaz Hai Kya?
Ghafil
Aadaab Se Yeh Sukkaan-e-Zameen Kaise Hain
Shokh-o-Gustakh Yeh Pasti Ke Makeen Kaise
Hain!
Stanza (4)
Iss
Qadar Shokh Ke Allah Se Bhi Barham Hai
Tha Jo Masjood-e-Malaeek Yeh Wohi Aadam Hai?
Iss
Qadar Shokh Ke Allah Se Bhi Barham Hai
Tha Jo Masjood-e-Malaeek Yeh
Wohi Aadam Hai?
Naaz
Hai Taaqat-e-Guftaar Pe Insanon Ko
Baat Karne Ka Saliqa Nahin Nadanon Ko!
Stanza (5)
Ayi
Aawaz Ghum-Angaiz Hai Afsana Tera
Ashk-e-Betaab Se Labraiz Hai Paimana Tera
Asmangeer
Huwa Naara-e-Mastana Tera
Kis Qadar Shokh Zuban Hai Dil-e-Diwana Tera
Shukr
Shikwe Ko Kiya Husn-e-Ada Se Tu Ne
Hum Sukhan Kar Diya Bandon Ko Khuda Se Tu Ne
No comments:
Post a Comment