Mard-e-Musalman (A Muslim) (Zarb-e-Kaleem-062)
Poet
: Allama Muhammad Iqbal
Guftar
Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan!
Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabroot
Ye
Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman
Humsaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-Khaki
Hai Iss
Ka Nasheman Na Bukhara Na Badakhshan
Ye
Raaz Kisi Ko Nahin Maloom Ke Momin
Qari Nazar Ata Hai, Haqiqat Mein Hai Quran!
Qudrat Ke Maqasid Ka Ayar Uss Ke Irade
Dunya
Mein Bhi Meezan, Qayamat Mein Bhi Meezan
Jis
Se Jigar-e-Lala Mein Thandak Ho, Woh Shabnam
Daryaon Ke Dil Jis Se Dehel Jaen, Woh Toofan
Firat Ka Surood-e-Azali Iss Ke Shab-o-Roz
Ahang
Mein Yakta Sift-e-Soorah-e-Rehman
Bante
Hain Meri Kargah-e-Fikr Mein Anjum
Le
Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchan!
No comments:
Post a Comment