Shikwaa (
part 2)(Bang-e-Dra-105)
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Kaheen
Masjood The Patthar Kaheen Ma'bood Shajar!
Khogar-e-Paikar-e-Mehsoos
Thi Insaan Ki Nazar;
Maanta
Phir Koi Un-Dekhe Khuda Ko Kyun Kar??
Tujh
Ko Maloom Hai Leta Tha Koi Naam Tera?
Quwwat-e-Baazo-e-Muslim
Nai Kiya Kaam Tera!
Bas
Rahe The Yaheen Saljooq Bhi, Toorani Bhi;
Ahl-e-Cheen,
Cheen Mein, Iran Mein Sasani Bhi.
Isi
Ma'moor Mein Aabaad The Yunaani Bhi;
Isi
Dunya Mein Yahoodi Bhi The Nasrani Bhi.
Par
Tere Naam Pe Talwaar Uthaii Kiss Ne?
Baat
Jo Bigdi Huwi Thi, Wo Banaii Kiss Ne?
The
Hameen Ek Tere Ma'ar Ke Aaraoon Mein;
Khushkiyon
Mein Kabhi Ladte, Kabhi Daryaaon Mein.
Di
Azaanein Kabhi Europe Ke Kaleesawon Mein;
Kabhi
Africa Ke Tapte Huwe Sehrawon Mein.
Shaan
Aankhon Mein Na Jajti Thi Jahaandaaron Ki;
Kalma
Padhte The Hum Chaaun Mein Talwaaron Ki.
No comments:
Post a Comment