Shikwaa ( part 10) (Bang-e-Dra-105)
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Jinse
Nayaab-e-Muhabbat Ko Phir Arzaan Karde
Hind
Ke Der-e-Nasheenon Ko Musalmaan Karde
Juye
Khoo-mi Chakad Azz Hasrat Daireena Ma
Mee
Tapad Naala Be-Nashtar Kada Seena Ma
Bu-e-Gul
Legayi Beroon-e-Chaman Raaz-e-Chaman
Kya
Qayaamat Hai Ke Khud Phool Hain Gammaz-e-Chaman
Ahd-e-Gul
Khatam Huwa, Toot Gaya Saaz-e-Chaman
Udgaye
Daaliyon Se Zamzam-e-Parwaaz-e-Chaman
Ek
Bulbul Hai Ke Hai Mehwe Tarannum Abtak
Iske
Seene Mein Hai Naghmon Ka Talatun Abtak
Qamariyan
Shaaq-e-Sanobar Se Guraizaan Bhi Huwein
Pattiyan
Phool Ki Jhad Jhad Ke Pareshaan Bhi Huwein
Wo
Puraani Rawishein Baagh Ki Veeran Bhi Huwein
Daliyan
Paireen-e-Barg Se Uriyaan Bhi Huwein
Qaid-e-Mausam
Se Tabiat Rahi Aazaad Uski
Kaash
Gulshan Mein Samajhta Koi Fariyaad Uski
No comments:
Post a Comment