Zamana – Time (Bal-e-Jibril-143)
Poet : Allama Muhammad Iqbal
Qareeb
Tar Hai Namood Jis Ki Ussi Ka Mushtaq Hai Zamana
Meri Soorahi Se Qatra Qatra Naye Hawadis Tapak
Rahe Hain
Main Apni Tasbeeh-e-Roz-o-Shab
Ka Shumar Karta Hon Dana Dana
Har
Aik Se Ashna Hun, Lekin Juda Juda Rasme-o-Rah Meri
Kisi Ka Raakab, Kisi Ka Markab, Kisi Ko Ibrat Ka Taziyana
Na Tha Agar Tu
Shareek-e-Mehfil, Qasoor Mera Hai Ya Ke Tera
Mera Tareeka Nahin Ke Rakh Loon
Kisi Ki Khatar Mai’ay Shabana
Mere Kham-o-Paich Ko Najoomi Ki Ankh Pehchanti
Nahin Hai
Hadaf Se Baigana Teer Uss Ka, Nazar Nahin Jis
Ki Arfana
Shafaq Nahin Maghrabi
Ufaq Par, Ye Jooye Khoon Hai, Ye Jooye Khoon Hai!
Tulu-e-Farda Ka Muntazir
Reh Ke Dosh-o-Amroz Hai Fasana
Woh
Fikar-e-Ghustakh Ji Ne Uryaan Kiya Hai Fitrat Ki Taqaton Ko
Ussi Ki Betab Bijliyon Se Khatr Mein Hai Uss
Ka Ashiyana
Hawaen Un Ki, Fazaen Un Ki, Sumundar Un Ke, Jahaz Un Ke
Girah Bhanwar Ki Khule To Kyunkar, Bhanwar Hai Taqeer Ka Bahana
Jahan-e-Nau Ho Raha Hai Paida, Woh Alam-e-Peer
Mar Raha Hai
Jise Farangi Muqamiron Ne Bana Diya Hai Qimar
Khana
Hawa Hai Go Tund-o-Taiz Lekin
Charagh Apna Jala Raha Hai
Woh Mard-e-Darvesh Jis Ko
Haq Ne Diye Hain Andaz-e-Khusarwana
No comments:
Post a Comment