Shikwaa ( part 8)(Bang-e-Dra-105)
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Zindagi
Misl-e-Bilaal-e-Habashi Rakhte Hain
Ishq
Ki Khair, Wo Pehli Si Ada Bhi Na Rahi
Jadha
Paimaaee Tasleem-o-Raza Bhi Na Rahi
Muztarib
Dil Sifat-e-Qabl Numa Bhi Na Rahi
Aur
Pabandi Aain-e-Wafa Bhi Na Rahi
Kabhi
Humse Kabhi Ghairon Se Shana-Saai Hai
Baat
Kehneki Nahi Tu Bhi Tho Harjaai Hai
Sar-e-Faraan
Pe Kiya Deen Ko Kaamil Tuney
Ek
Ishaare Mein Hazaaron Ke Liye Dil Tuney
Aatish
Andoz Kiya Ishq Ka Haasil Tuney
Phoonk
Di Garmi Rukhsaar Se Mehfil Tuney
Aaj
Kyun Seenein Hamare Sharar Aabaad Nahi?
Hum
Wahi Sookhta Samaan Hain Tujhe Yaad Nahi?
Vaadi-e-Najd
Mein Wo Shor-e-Salasal Na Raha
Qais
Deewana-e-Nazzaara-e-Mehmil Na Raha
Hausle
Wo Na Rahe, Hum Na Rahe, Dil Na Raha
No comments:
Post a Comment