Thursday, 12 December 2013

Jawab-e-Shikwa ( Allama Muhammad Iqbal)

Jawab-e-Shikwa (PART 3)(Bang-e-Dra-120) 
                            Poet: Allama Muhammad Iqbal


                                 Stanza (11)


Safah-e-Dehr Se Batil Ko Mitaya Kis Ne?
 Nau-e-Insan Ko Ghulami Se Chhuraya Kis Ne?

                                                Mere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaya Kis Ne?
Mere Quran Ko Seenon Se Lagaya Kis Ne?

The Tou Aaba Woh Tumhare Hi, Magar Tum Kya Ho?
 Hath Par Hath Dhare Muntazir-e-Farda Ho!


                                Stanza (12)


Kya Kaha? "Bahr-e-Musalman Hai Faqt Wade-e-Hoor
 Shikwa Be-Ja Bhi Kare Koi Tau Lazim Hai Shaoor!

                                                Adal Hai Fatir-e-Hasti Ka Azal Se Dastoor
 Muslim Aaeen Huwa Kafir Tau Mile Hoor-o-Qasoor

Tum Mein Hooron Ka Koi Chahne Wala Hi Nahin
 Jalwa-e-Toor Tau Maujood Hai, Moosa Hi Nahin



                                 Stanza (13)


Manfa’at Aik Hai Is Qaum Ki, Nuqsan Bhi Aik
 Ek Hi Sab Ka Nabi (S.A.W), Din Bhi, Iman Bhi Aik

                                                Harm-e-Paak Bhi, Allah Bhi, Quran Bhi Aik,
                                                Kuch Bari Baat Thi Hote Jo Musalmaan Bhi Aik!

Firqa Bandi Hai Kahin, Aur Kahin Zaatain Hain
 Kya Zamane Mein Panapne Ki Yehi Baatain Hain?



                                Stanza (14)


Kon Hai Taarik-e-Aaeen-e-Rasool-e-Mukhtar (S.A.W.)?
 Maslihat Waqt Ki Hai Kis Ke Amal Ka Maayaar?

Kis Ki Ankhon Mein Samaya Hai Sha’ar-e-Aghyar
 Ho Gyi Kis Ki Nigah Tarz-e-Salaf Se Baizar?

Qalb Mein Souz Nahin, Rooh Mein Ehsas Nahin
 Kuch Bhi Paigham-e-Muhammad (S.A.W.) Ka Tumhain Paas Nahin


                                 Stanza (15)


Jaa Ke Hote Hain Masajid Mein Saf-Aara, Tau Ghareeb
 Zehmat-e-Roza Jo Karte Hain Gawara, Tau Ghareeb

Naam Leta Hai Agar Koi Hamara, Tau Ghareeb
 Pardah Rakhta Hai Agar Koi Tumhara, Tau Ghareeb

Umra Nasha-e-Doulat Mein Hain Ghafil Hum Se
 Zinda Hai Millat-e-Baiza Ghurba Ke Dam Se

No comments:

Post a Comment