Shikwaa ( part 1)(Bang-e-Dra-105)
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Fikr-e-Farda
Na Karoon, Mehw-e-Gham-e-Dosh Rahoon?
Naal-e-Bulbul
Ke Sunoon Aur Hamatan Gosh Rahoon?
Hamnawa
Main Bhi Koi Gul Hoon Ke Khamosh Rahoon?
Jurr'at
Aamoz Meri Taab-e-Sukhan Hai Mujhko!
Shikwa
Allah Se Khakam Badhan Hai Mujhko!
Hai
Baja Shewa-e-Tasleem Mein Mash'hoor Hain Hum;
Qissa-e-Dard
Sunaate Hain Ke Majboor Hain Hum.
Saaz
Khaamosh Hain, Fariyaad Se Maamoor Hain Hum;
Nala
Aata Hai Agar Lab Pe Tho Ma'zoor Hain Hum.
Aye
Khuda Shikwa-e-Arbaab-e-Wafa Bhi Sunle;
Khugar-e-Hamd
Se Thoda Sa Gila Bhi Sunle.
Thi
Tho Maujood Azal Se Hi Teri Zaat-e-Qadeem;
Phool
Tha Zaib-e-Chaman, Par Na Pareshaan Thi Shameem.
Shart
Insaaf Hai Aye Saahib-e-Althaaf-e-Ameen;
Boo-e-Gul
Phailti Kis Tarha Jo Hoti Na Naseem?
Hamko
Jamee'at-e-Khatir Ye Pareshaani Thi
Warna
Ummat Tere Mehboob (saw) Ki, Diwaani Thi?
No comments:
Post a Comment