Thursday, 12 December 2013

Touheed ( Allama Muhammad Iqbal)

Touheed (توحید) Oneness Of God(Zarb-e-Kaleem-017)
                                                              Poet: Allama Muhammad Iqbal


Zinda Quwwat Thi Jahan Mein Yehi Touheed Kabhi
 Aaj Kya Hai, Faqat Ek Masla-e-Ilm-e-Kalaam

                                         Roshan Iss Zou Se Agar Zulmat-e-Kirdar Na Ho
                                         Khud Musalman Se Hai Poshida Musalman Ka Maqam

Main Ne Ae Meer-e-Sipah! Teri Sipah Dekhi Hai
‘QUL HU WALLAH’ Ki Shamsheer Se Khali Hain Nayam

    Aah, Iss Raaz Se Waqif Hai Na Mullah, Na Faqeeh
    Wahdat Afkar Ki Be-Wahdat-e-Kirdar Hai Kham

Qoum Kya Cheez Hai, Qoumon Ki Imamat Kya Hai
 Iss Ko Kya Samjhain Ye Bechare Do Rakat Ke Imam!


No comments:

Post a Comment