Jawab-e-Shikwa (PART 7) (Bang-e-Dra-120)
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Stanza (31)
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Stanza (31)
Hai Abhi
Mehfil-e-Hasti Ko Zaroorat Teri
Zinda Rakhti Hai
Zamane Ko Hararat Teri
Koukab-e-Qismat-e-Imkan Hai Khilafat Teri
Waqt-e-Fursat Hai Kahan, Kaam Abhi Baqi Hai
Noor-e-Touheed Ka Itmam Abhi Baqi Hai
Stanza (32)
Misl-e-Bu Qaid Hai Ghunche Mein, Preshan Ho Ja
Rakht
Bar Dosh Hawaye Chamanistan Ho Ja
Hai Tunk Maya To
Zarre Se Byaban Ho Ja
Naghma-e-Mouj Se Hangama-e-Toofan Ho Ja!
Quwwat-e-Ishq Se Har Past Ko Bala Kar De
Dehr
Mein Ism-e-Muhammad (S.A.W.) Se Ujala Kar De
Stanza (33)
Ho Na Ye Phool To Bulbul Ka Tarannum Bhi Na Ho
Chaman-e-Dehr
Mein Kaliyon Ka Tabassum Bhi Na Ho
Ye Na Saqi Ho To
Phir Mai Bhi Na Ho, Khum Bhi Na Ho
Bazm-e-Touheed Bhi Dunya Mein Na Ho, Tum Bhi
Na Ho
Khema Aflak Ka Istada Issi Naam Se Hai
Nabz-e-Hasti Tapish Aamadah Issi Naam Se Hai
Stanza (34)
Dasht Mein, Daman-e-Kuhsar Mein, Maidan Mein
Hai
Behr
Mein, Mouj Ki Aghosh Mein, Toofan Mein Hai
Cheen Ke Shehr,
Maraqash Ke Byaban Mein Hai
Aur Poshida Musalman Ke Iman Mein Hai
Chashm-e-Aqwam Ye Nazara Abad Tak Dekhe
Riffat-e-Shan-e-‘Rafaana La Ka Zikrak’ Dekhe
Stanza (35)
Mardam-e-Chashm-e-Zameen Yani Woh Kali Dunya
Woh
Tumhare Shuhada Palne Wali Dunya
Garmi-e-Mehr Ki
Parwarda Hilali Dunya
Ishq Wale Jise Kehte Hain Bilali Dunya
Tapish Andoz Hai Iss Naam Se Paare Ki Tarah
Ghouta
Zan Noor Mein Hai Aankh Ke Tare Ki Tarah
Stanza (36)
Aqal Hai Teri Sipar, Ishq Hai Shamsheer Teri
Mere
Darvaish! Khilafat Hai Jahangeer Teri
Ma Siwa Allah Ke
Liye Aag Hai Takbeer Teri
Tu Musalman Ho To Taqdeer Hai Tadbeer Teri
Ki Muhammed (S.A.W.) Se Wafa Tu Ne Tau Hum Tere
Hain
Yeh
Jahan Cheez Hai Kya, Loh-o-Qalam Tere Hain
No comments:
Post a Comment