Muslim (Bang-e-Dra-117)
Poet
: Allama Muhammad Iqbal
Seena’ay
Sozaan Tera Faryad Se Maamoor Hai
Naghama’ay Umeed
Teri Barbat-e-Dil Mein Nahin
Hum Samajhte Hain Ye
Laila Tere Mahmil Mein Nahin
Gosh Awaz-e-Surood-e-Rafta Ka Joya (Talash)
Tera
Aur Dil
Hungama’ay Hazir Se Be Parwa Tera
Qissa’ay Gul Hum
Nawayan-e-Chaman Sunte Nahin
Ahl-e-Mehfil Tera
Pegham-e-Kuhan Sunte Nahin
Ae Dara’ay Karwan-e-Khufta Pa! Khamosh Reh
Hai
Bohat Yaas Afreen Teri Sada Khamosh Reh
Zinda Phir Woh
Mehfil-e-Dairina Ho Sakti Nahin
Shama Se Roshan
Shab-e-Dosheena Ho Sakti Nahin
Hum Nasheen! Muslim Hun Mein, Touheed Ka Hamil
Hun Main
Iss
Sadaqat Par Azal Se Shahid-e-Adil Hun Main
Nabz-e-Moujudat Main Paida Hararat Iss
Se Hai
Aur Muslim Ke Takhiyyul Main Jasarat Iss Se
Hai
Haq Ne Alam Iss Sadaqat Ke Liye Paida Kiya
Aur
Mujhe Is Ski Hifazat Ke Liye Paida Kiya
Dehr Mein Gharat
Gar-e-Batil Prasti Main Huwa
Haq To Ye Hai
Hafiz-e-Namoos-e-Hasti Main Huwa
Meri Hasti Pairhan Uryani-e-Alam Ki Hai
Mere Mit
Jane Se Ruswayi Bani Adam Ki Hai
Qismat-e-Alam Ka
Muslim Koukab-e-Tabinda Hai
Jis Ki Tabani Se Afsoon-e-Sehar Sharminda Hai
Ashkara Hain Meri Ankhon Pe Asrar-e-Hayat
Keh Nahi
Sakte Mujhe Naumeed-e-Paikaar-e-Hayat
Kab Dra Sakta Hai
Gham Ka Arzi Manzar Mujhe
Hai Bharosa Apni Millat Ke Muqaddar Par Mujhe
Yaas Ke Unsar Se Hai Azad Mera Rozgaar
Fateh-e-Kamil Ki Khabar Deta Hai
Josh-e-Karzaar
Haan Ye Sach Hai
Chashme Bar Ehd-e-Kuhan Rehta Hun Main
Ahl-e-Mehfil Se Purani
Dastan Kehta Hun Mein
Yad-e-Ehd-e-Rafta Meri Khak Ko Ikseer Hai
Mera
Mazi Mere Istaqbal Ki Tafseer Hai
Samne Rakhta Hun Uss
Dour-e-Nishat Afza Ko Main
Dekhta Hun Dosh Ke
Aaeene Mein Farda Ko Main
No comments:
Post a Comment