Tariq Ki Dua (Bal-e-Jibril-128)(Andalus Ke Maidan-e-Jang Mein)
Poet : Allama Muhammad Iqbal
Jinhain
Tu Ne Bakhsha Hai Zuaq-e-Khudai
Do-Neem In Ki Thoukar Se Sehra-o-Darya
Simat Kar Pahar In Ki Haibat Se Rayi
Do Alam Se Karti Hai Baigana Dil Ko
Ajab
Cheez Hai Lazzat-e-Ashnayi
Shahadat
Hai Matloob-o-Maqsood-e-Momin
Na
Maal-e-Ghanimat Na Kishwar Kushayi
Khayaban Mein Hai Muntazir Lala Kab Se
Qaba
Chahye Iss Ko Khoon-e-Arab Se
Kiya Tu
Ne Sehra Nasheenon Ko Yakta
Khabar
Mein, Nazar Mein, Azan-e-Sehar Mein
Talab Jis Ki Sadiyon Se Thi Zindagi Ko
Woh Souz
Iss Ne Paya Inhi Ke Jigar Mein
Kushad-e-Dar-e-Dil
Samajhte Hain Iss Ko
Halakat Nahin Mout In Ki Nazar Mein
Dil-e-Mard-e-Momin Mein Phir Zinda Kar De
Woh
Bijli Ke Thi Na’ara-e-‘LA TAZAR’ Mein
Aza’im
Ko Seenon Mein Baidar-e-Kar De
Nigah-e-Musalman
Ko Talwar Kar De!
No comments:
Post a Comment