Jawab-e-Shikwa (PART 6)(Bang-e-Dra-120)
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Stanza (26)
Koukab-e-Ghuncha Se Shakhain Hain Chamakne
Wali
Khas-o-Khashaak Se
Hota Hai Gulistan Khali
Gul Bar Andaaz Hai Khoon-e-Shuhada Ki Laali
Rang Gardoon Ka Zara Dekh Tau Unnabi Hai
Yeh
Nikalte Huwe Suraj Ki Ufaq Taabi Hai
Stanza (27)
Ummatain
Gulshan-e-Hasti Mein Samar Cheeda Bhi Hain
Aur
Mehroom-e-Samar Bhi Hain, Khazan Didah Bhi Hain
Saikron Nakhl
Hain, Kaheeda Bhi, Baleeda Bhi Hain
Saikron Batan-e-Chaman Mein Abhi Poshida Bhi
Hain
Nakhl-e-Islam Namoona Hai Bru-Mandi Ka
Phal Hai
Ye Saikron Saalon Ki Chaman Bandi Ka
Stanza (28)
Pak Hai Gard-e-Watan Se Sirr-e-Daman Tera
Tu Woh
Yousaf Hai Ke Har Misr Hai Kinaan Tera
Qafila Ho Na Sake
Ga Kabhi Weeran Tera
Ghair Yak Bang-e-Dara Kuch Nahin Saman Tera
Nakhl-e-Shama Asti-o-Dar Shaola Dawad
Resha-e-Tu
Aaqbat
Soz Bawad Saya-e-Andesha-e-Tu
Stanza (29)
Tu Na Mit Jaye Ga Iran Ke Mit Jane Se
Nasha-e-Mai Ko Ta’aluq Nahin Pemane Se
Hai Ayan
Yorish-e-Tataar Ke Afsane Se
Pasban Mil Gaye Kaabe Ko Sanam Khane Se
Kashti-e-Haq Ka Zamane Mein Sahara Tu Hai
Asr-e-Nau Raat Hai, Dhundla Sa Sitara Tu Hai
Stanza (30)
Hai Jo Hangama Bipa Yorish-e-Balghari Ka
Ghafilon
Ke Liye Pegham Hai Baidari Ka
Tu Samajhta Hai Ye
Saman Hai Dil Aazari Ka
Imtihan Hai Tere Isaar Ka, Khud-Dari Ka
Kyun Harasan Hai Saheel-e-Faras-e-Aada Se
Noor-e-Haq Bujh Na Sake Ga Nafs-e-Aada Se
No comments:
Post a Comment