Shikwaa ( part 6)(Bang-e-Dra-105)
Poet: Allama Muhammad Iqbal
Ye
Shikaayat Nahi Hai Unke Khazaane Ma'moor
Nahi
Mehfil Mein Jinhe Baat Bhi Karne Ka Sha'oor
Qahr
Tho Ye Hai Ke Kaafir Ko Mile Hoor-o-Qasoor
Aur
Bechaare Musalmaan Ko Faqat Waada-e-Hoor
Ab
Wo Altaaf Nahi Hampar Inaayat Nahi
Baat
Yeh Kya Hai Ke Pahli Si Madarat Nahi?
Kyun
Musalmaanon Mein Hai Daulat-e-Duniya Nayaab
Teri
Qudrat Tho Hai Woh Jiski Na Hadd Hai Na Hisaab
Tu
Jo Chahe Tho Uththe Seena-e-Sehra Se Habaab
Rahrawe
Dasht Ho Saili Zada Mauj-e-Saraab
Ta'in-e-Aghyaar
Hai, Ruswaai Hai, Nadaari Hai
Kya
Tere Naam Pe Marne Ka Iwaz Khwari Hai?
Bani
Aghyaar Ki Ab Chahnewaali Duniya
Rah
Gayi Apne Liye Ek Khayaali Duniya
Hum
Tho Ruksath Huwe, Auron Ne Sambhali Duniya
Phir
Na Kehna Huwi Tauheed Se Khaali Duniya
No comments:
Post a Comment