Aaina kyu na doon ke tamasha kahe
jise
Poet: Mirza Ghalib
Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke
tujhasa kahe jise
Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah
suveda kahe jise
Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar
tamanna kahe jise
Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke
sahara kahe jise
Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta
dariya kahe jise
Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar
paba-e-miina kahe jise
“ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke
sab achchha kahe ji
No comments:
Post a Comment