Thursday 12 December 2013

March 1907 (Allama Muhammad Iqbal)

March 1907 (Bang-e-Dra-092)
                         Poet: Allama Muhammad Iqbal


Zamana Aya Hai Behijabi Ka, Aam Didar-e-Yar Ho Ga
 Sakoot Tha Parda Dar Jis Ka, Woh Raaz Ab Ashkar Ho Ga

               Guzar Gya Ab Woh Dor Saqi Ke Chup Ke Peete The Peene Wale
               Bane Ga Sara Jahan Maikhana, Har Koi Bada Khwar Ho Ga

Kabhi Jo Awara’ay Junoon The, Woh Bastiyon Mein Phir Aa Basain Ge
 Barhna Payi Wohi  Rahe Gi, Magar Naya Khar Zaar Ho Ga

              Suna Diya Gosh-e-Muntazir Ko Hijaz Ki Khamshi Ne Akhir
             Jo Ehad  Sehraiyon Se Bandha Gya Tha, Phir Ustawar Ho Ga

Nikl Ke Sehra Se Jis Ne Roma Ki Saltanat Ko Ulat Diya Tha
 Suna Hai Ye Qudsiyon Se Main Ne, Woh Sher Phir Hoshyar Ho Ga

             Kiya Mera Tazkara Jo Saqi Ne Badah Khawaron Ki Anjuman Mein
             To Peer-e-Maikhana Sun Ke Kehne Laga Ke Munh Phat Hai, Khuwar Ho Ga

Diyar-e-Maghrib Ke Rehne Walo ! Khuda Ki Basti Dukan Nahin Hai
 Khara Jise Tum Samajh Rahe Ho, Woh Ab Zr-e-Kam Ayaar Ho Ga

            Tumhari Tehzeeb Apne Khanjar Se Ap Hi Khudkushi Kare Gi
            Jo Shakh-e-Nazuk Pe Ashiyana Bane Ga, Na Paidar Ho Ga

Safina’ay Barg-e-Gul Bana Le Ga Qafla Moor-e-Natawan Ka
 Hazar Moujon Ki Ho Kashakash Magar Ye Darya Se Paar Ho Ga

           Chaman Mein Lala Dikhata Phirta Hai Dagh Apna Kali Kali Ko
           Ye Janta Hai Ke Iss Dikhawe Se Dil Jalon Mein Shumar Ho Ga

Jo Aik Tha Ae Nigah Tu Ne Hazar Kar Ke Humain Dikhaya
 Yehi Agar Kaifiyat Hai Teri To Phir Kise Itibaar Ho Ga

              Kaha Jo Qumri Se Main Ne Ek Din, Yahan Ke Azad Pa Ba Gil Hain
             To Ghunche Kehne Lage, Humare Chaman Ka Ye Raazdaar Ho Ga

Khuda Ke Ashiq To Hain Hazaron, Bannu Mein Phirte Hain Mare Mare
 Mein Uss Ka Banda Bano Ga Jis Ko Khuda Ke Bandon Se Pyar Ho Ga

             Ye Rasm-e-Bazm-e-Fana Hai Ae Dil! Gunah Hai Junbish-e-Nazar Bhi
             Rahe Gi Kya Abru Humari Jo Tu Yahan Be-Qarar Ho Ga

Mein Zulmat-e-Shab Mein Le Ke Niklun Ga Apne Darmandah Karwan Ko
 Sharar Fishan Ho Gi Aah Meri, Nafas Mera Shaola Bar Ho Ga

           Nahin Hai Ghair Az Namood Kuch Bhi Jo Maddaa Teri Zindagi Ka
          Tu Ek Nafas Mein Jahan Se Mitna Tujhe Misl-e-Sharaar Ho Ga

Na Pooch Iqbal Ka Thikana, Abhi Wohi Kaifiyat Hai Uss Ki

 Kahin Sar-e-Rah Guzar Baitha Sitam Kash-e-Intizar Ho Ga

No comments:

Post a Comment