Thursday 12 December 2013

Jawab-e-Shikwa ( Allama Muhammad Iqbal)

Jawab-e-Shikwa (PART 7) (Bang-e-Dra-120) 
                            Poet: Allama Muhammad Iqbal                                              

                                         Stanza (31)

Chashme-e-Aqwam Se Makhfi Hai Haqiqat Teri
 Hai Abhi Mehfil-e-Hasti Ko Zaroorat Teri

Zinda Rakhti Hai Zamane Ko Hararat Teri
 Koukab-e-Qismat-e-Imkan Hai Khilafat Teri

Waqt-e-Fursat Hai Kahan, Kaam Abhi Baqi Hai
 Noor-e-Touheed Ka Itmam Abhi Baqi Hai


                                 Stanza (32)


Misl-e-Bu Qaid Hai Ghunche Mein, Preshan Ho Ja
 Rakht Bar Dosh Hawaye Chamanistan Ho Ja

Hai Tunk Maya To Zarre Se Byaban Ho Ja
 Naghma-e-Mouj Se Hangama-e-Toofan Ho Ja!

Quwwat-e-Ishq Se Har Past Ko Bala Kar De
 Dehr Mein Ism-e-Muhammad (S.A.W.) Se Ujala Kar De


                                 Stanza (33)


Ho Na Ye Phool To Bulbul Ka Tarannum Bhi Na Ho
 Chaman-e-Dehr Mein Kaliyon Ka Tabassum Bhi Na Ho

Ye Na Saqi Ho To Phir Mai Bhi Na Ho, Khum Bhi Na Ho
 Bazm-e-Touheed Bhi Dunya Mein Na Ho, Tum Bhi Na Ho

Khema Aflak Ka Istada Issi Naam Se Hai
 Nabz-e-Hasti Tapish Aamadah Issi Naam Se Hai


                                 Stanza (34)


Dasht Mein, Daman-e-Kuhsar Mein, Maidan Mein Hai
 Behr Mein, Mouj Ki Aghosh Mein, Toofan Mein Hai

Cheen Ke Shehr, Maraqash Ke Byaban Mein Hai
 Aur Poshida Musalman Ke Iman Mein Hai

Chashm-e-Aqwam Ye Nazara Abad Tak Dekhe
 Riffat-e-Shan-e-‘Rafaana La Ka Zikrak’ Dekhe


                                 Stanza (35)


Mardam-e-Chashm-e-Zameen Yani Woh Kali Dunya
 Woh Tumhare Shuhada Palne Wali Dunya

Garmi-e-Mehr Ki Parwarda Hilali Dunya
 Ishq Wale Jise Kehte Hain Bilali Dunya

Tapish Andoz Hai Iss Naam Se Paare Ki Tarah
 Ghouta Zan Noor Mein Hai Aankh Ke Tare Ki Tarah


                                 Stanza (36)


Aqal Hai Teri Sipar, Ishq Hai Shamsheer Teri
 Mere Darvaish! Khilafat Hai Jahangeer Teri

Ma Siwa Allah Ke Liye Aag Hai Takbeer Teri
 Tu Musalman Ho To Taqdeer Hai Tadbeer Teri

Ki Muhammed (S.A.W.) Se Wafa Tu Ne Tau Hum Tere Hain
 Yeh Jahan Cheez Hai Kya, Loh-o-Qalam Tere Hain

No comments:

Post a Comment