Wednesday 18 December 2013

Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise


Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Poet:  Mirza Ghalib



Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
 Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise

Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
 Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise

Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
 Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise

Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
 Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise

Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
 Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise

Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
 Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise

“ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
 Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe ji


Shehr e Dil


Shehr e Dil
Poet: Mirza Ghalib


Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
 Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..

Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
 Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..

Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
 Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???

Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
 tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..

ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
 her Sitam Bay-misaal Kartay ho . .


Har baat par kehte ho tum


Har baat par kehte ho tum
 Poet: Mirza Ghalib



Har baat par kehte ho tum ke tu kya hai
 Tumhi batao yeh andaz-e-guftgu kya hai
 ragon mai daudane ke ham nahi kayal
 jo aankh hi se na tapka woh lahu kya hai

Nukta chii hai gam e dil,ke sunaya na bane
 kya baat bane wahan,jahan baat banye na bane?.
 ishq par zor nahi hai yeh woh attish galib
 jo lagaye na lage bhujhaye na bane?

Na tha main to khuda tha,
 kuch na hota to khuda hota?
 mitaya mujh ko hone ne,
 na hota main to kya hota

Kahu kis se ki kya kiya hai
 shabe gam buri bala hai
 mujhe kya bura tha marna
 gar ek baar hota

Na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
 duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?
 huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
 na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota
 huee muddat ke ?GHalib? mar gaya par yaad aata hai
 wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?

Ek baat pe kehte ho tum ke


Ek baat pe kehte ho tum ke
 Poet: Mirza Ghalib


har ek baat pe kehte ho tum ke ?too kya hai? ?
 tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?

na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
 koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?





                              yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?

chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
 hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?

jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
 kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?

ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
 jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?


woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
 siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?

piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
 yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?


rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
 to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?

bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
 wagarna shehar meiN ?GHalib? kee aabroo kya hai ?


Tuesday 17 December 2013

Tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha


Tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha
  Poet: Mirza Ghalib



Tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha
 auron pe hai wo zulm ki mujh par na hua tha

 choda mah-e-nakhshab ke tarah dast-e-qaza ne
 khurshid hanoz us ke barabar na hua tha

 taufiq ba andaz-e-himmat hai azal se
 aankhon mein hai wo qatara ki gohar na hua tha

 jab tak ke na dekha tha qad-e-yar ka aalam
 main motaqid-e-fitana-e-mahashar na hua tha

 main sada dil aazurdagi-e-yar se khush hun
 yani sabaq-e-shauq mukarrar na hua tha

 dariya-e-maasi tunuk abhi se hua khushk
 mera sar-e-daman bhi abhi tar na hua tha

 jari thi asad dag-e-jigar se mere tahasil
 aatashqada jagir-e-samandar na hua tha


Ye na thi hamari qismat ke visal-e-yar hota


Ye na thi hamari qismat ke visal-e-yar hota
 Poet:  Mirza Ghalib


Ye na thi hamari qismat ke visal-e-yar hota

 agar aur jite rehte yahi intazar hota

 tere wade par jiye hum to ye jan jhooth jana
 ke khushi se mar na jate agar aitabar hota

 teri nazuki se jana ki bandha tha ahdboda
 kabhi tu na tod sakata agar ustavar hota

 koi mere dil se puche tere tir-e-nimakash ko
 ye khalish kahan se hoti jo jigar ke par hota

 ye kahan ke dosti hai ke bane hain dost naseh
 koi charasaz hota, koi gamgusar hota

 rag-e-sang se tapakata wo lahu ki phir na thamata
 jise gham samajh rahe ho ye agar sharar hota

 gham agarche jangusil hai, pe kahan bachen ke dil hai
 gam-e-ishq gar na hota, gam-e-rozagar hota

 kahun kis se main ke kya hai, shab-e-gam buri bala hai
 mujhe kya bura tha marana agar ek bar hota

 hue mar ke hum jo rusava, hue kyon na garq-e-dariya
 na kabhi janaza uthata, na kaheen mazar hota

 use kon dekh sakata ki yagana hai wo yakta
 jo dui ke bu bhi hoti to kaheen do char hota

 ye masail-e-tasavvuf, ye tera bayan ‘ghalib’
 tujhe hum wali samajhate, jo na badakhvar hota


Monday 16 December 2013

Hamdardi


Hamdardi
Poet : Allama Muhammad Iqbal


Tehni Pe Kisi Shajar Ki Tanha
 Bulbul Tha Koi Udaas Betha
 Kehta Tha Ke Raat Sar Pe Aai
 Urney Chugney Mai Din Guzara
 Pohchun Kis Tarah Aashiyaan Tak
 Har Cheez Pe Chaa Gaya Andhera


Sun Ke Bulbul Ki Aah-O-Zaari
 Jugnu Koi Paas Hi Se Bola
 Hazir Hun Madad Ko Jaan-O-Dil Se
 Keera Hun Agarcha Mai Zara Sa
 Kiya Gham Hai Jo Raat Hai Andheri
 Mai Raah Mai Roshni Karonga
 ALLAH Ne Di Hai Mujh Ko Mashal
 Chamka Ke Mujhe Diya Banaya


Hain Log Wohi Jahan Mai Ache
 Aate Hain Jo Kaam Dosron Ke